Header Ads

test

Ufone free internet 100% working with downloading for all mobile phones

Ufone Free Internet 100% Working With 

Downloading For All Mobile Phones


 Introduction:

Assalam.o.Alaikum friends kese ho aap sub log umeed karta hoo Allah ke
karam se sub bilkul theek hoo ge.Sub se pehle to me late post karne ki muaafi chahta hoo because in dino me kuch personal work mein busy tha jis ki waja se koi post share nahi kar saka.Ab inshallah dobara se ap sub dosto ke lye daily posts update hoti rahe gi.


Pehle pehle ufone ka free internet unlimited poore 3 saal ke liye lagatar 
chalta raha tha lekin uske baad jub ufone company ko pata chala to unho ne security zayada kar di jis ki waja se pichle taqreban 1 saal se ufone free internet work nahi kar raha aur na hi koi setting aayi hai lekin aaj jo trick me apke saath share kane ja raha hoo uss se aap unlimited internet use kar sakte hein.








Ye trick all mobiles pe working hai chahe wo Samsung hai,Nokia,Q Mobile,LG,Lenovo,Huawei ya Gfive etc jo bhi phone ho uss pe working hai lekin aap iss trick ko nokia ke dual sim waale phone pe use nahi kar sakte.Haa agar nokia ka koi android phone hai aur chahe wo dual sim hai to ye work kare ga.




Requirements:

Ufone free internet use karne ke lya hume jin cheezo ki zarorat ho gi wo ye hein:

1.Aik android ya symbian phone

2.Mobile mein uc handler lazmi installed ho because hum sirf issi pe internet use kar sake ge


3.Aik package jis ki detail me neeche de raha hoo




Package Kis Lye Aur Hum Konsa Package Istmaal Kare Ge:

Jese keh ufone ke all users ko pata hai keh ufone apne daily,weekly and monthly internet bundles ke sath unlimited facebook,twitter and whatsapp bhi de raha hai.Bus hum in ki madad se hi unlimited internet use kare ge.For example aap ufone internet ka 50 rupees wala weekly bundle lagate ho aur apko 250 mb milte hein to hum un 250 mb ki bajaye unlimited internet use kar sakte hein.Iss ko full free to nahi kaha ja sakta lekin kuch na hone se behtar hai.





 Ufone Free Internet Method:
1.Sub se pehle ufone ka koi internet bundle activate kare jis ke sath facebook,whatsapp and twitter milta ho

2.Ab uc handler ko download kar ke apne phone mein install kare jis ka link me already de chuka hoo

3.Uc handler install karne ke baad phone mein open kare

 
4.Ab yaha kafi options hoo ge jin mein se aap ne proxy type waale option mein real host ko select karna hai

5.Iss ke bilkul neeche proxy server mein m.line.me type kar dein

6.Ab end pe aa ke save button ko press kar dein

7.Le ge setting ho chuki hai ab aap limited mbs ki bajaye unlimited mb use kar sakte hein




Downloading Kese Kare:

Agar iss setting se downloading na ho to ye steps follow kare:

1.Jo file download karni hai uss ka link pehle copy kre

2.Copy karne ke baad ye website open kare

3.Jub site open ho jaye to iss mein aik box ho ga uss box mein jo download link copy kia tha wo paste kare

4.Paste karne ke baad go pe click kar dein

5.Go pe click karne ke baad agar file automatic download pe start ho jaye to theek warna aik site open ho gi jis mein download button pe click karne se downloading start ho gi  




Note:

Agar ufone waalo ko pata chalta hai to ye setting kabhi bhi block ho sakti hai jis ke liye meri kisi qisam ki koi zimadari nahi hai.

1 comment:

  1. If you are looking for a heating and air conditioning company in the Tulsa County area, Our professional technicians can help you select, install, and maintain equipment to assure efficiency, reliability, and comfort over the lifetime of your products
    best spin bikes 2020

    ReplyDelete