Jungle me saanp(story)
Jungle main saanp
Puraney zamaney ki ak riyasat thi us riyasat me aik gaaon(town)aisa tha jahan pr kuch hota tha jo kahin or ni hota tha agrchay gaaon k chand siyaney log is pr kurhtey they tanqeed krtey they k ye kya tamasha he.
Wo gaaon k chauhdry ka chehra dekhtey rehtey usey smjhaney ki koshash krtey k chauhdry sahib ap kisi ko saanp(snake)marney ki ijazat ni detey.
Gaaon ka chauhdry shareef admi tha hans mukh tha bus hans deta or kehta sab theek ho jaye ga.
Jis tarah islamabad k paharh ka name margla he, is ka matlab he saanpo(snakes) ka ghar.
Isi tarah us gaaon me b bahot saanp hua krtey they.
Saanpo k zyada honey ki waja ye thi k koi kabi un saanpo ka rasta hi ni rokta tha,log saanp dekh kr ya to rasta chor jatey they ya salaam kr k aagey nikal jatey they,gaaon me jaga jaga saanpo ka tamasha hota tha,siyaney log chohdry se kehtey k ye to aisa lgta he jese hazaroon saal purana gaaon ho is me to aisey tamashey ho rahey hain k khuda ki panah.
Chohdry jo jaat tha tabiytan aisa k bus sun leta tha.
Is doran gaaon k kai log saanpo k katney se zakhmi hue,kai aise b they jin ka rasta saanpo ne rok liya,log rastey badal badal kar manzil ki taraf chaltey rahay.
Is doran unhen jangloon se b guzarna parta,wo jangloon se guzartey mgr sochtay k,
Jungle me saanp shehar me bastay hain aadmi
Saanpo se bach k aayen to dastay hain aadmi
Saanpo ne insaano ka jeena mushkil kar diya tha,mgr gaaon ka jaat chohdry kehta......acha chalo,sab theek ho jaye ga,
Gaaon me ap ko saanp nazar ni aayen ge,filhal me khatarnaan saanpo ko marwa raha hu,mere ghar k bandey saanpo k pichey charey hue hain,be fikar ho jao.....chohdry ki is tasalli pe gaaon k chand log mutmaeen ho jatey mgr gaoon ki aksariyat kehti ni chohdry ye sari batain waqt guzari k liye karta he,gaaon me baki logon k pass danday sotay ni hain wo to sab chohdry k apne bandon k pass hain,mgr ye hamara chohdry pta ni har waqt maslehat me ghusa rehta he,saanpo k hoslay is se barhtay hain,wo gaoon k logon ko mazeed taizi se katetay hain.
Ek din gaaon ka Allah rakha bata raha tha k ab gaaon ki halat bohat buri ho gai he,gaaon k har darakht pr koi na koi saanp he,bohat dar lgta he,parsu ek saanp ne bootay ko dassa tha,pata ni boota bachta he ya ni,ab to baaz oqaat ek dam saanpo ki awaazain is qadar ana shuru ho jati hain k hum jese gareebon ki awaazain to bilkul hi dab k reh jati hn,tufail darzi ko b saanp lar gaya tha,chachay mannay ka saanpo ne haal bohat bura kiya tha,pata ni chohdry sahib abi kya soch rahay hain,chaar din pehle main babay ghulam rasool k pas gaya tha babq ghulam rasool bara ba himmat aadmi he,apni shan se jeeta he dunya ka isse koi lalach ni,apni baat kar jata he such bolta he,isi liye babay k dairay pr rash laga rehta he,warna aj kal kis k pas itna waqt he k kisi k pas jaye.
Me to jab b babay ghulam rasool k dairay pr gaya hu mujhe to wahan logon ka rasha hi mila he,mujhe koi khas baat krna ho to alag kamray me krna prti he chonkay babay k ird gird log hotay hain.
Is martaba me jab gaya to isi tara log thay mgr alag milne ki zururat paish ni ai q k babay ki guftagu ka mozu asre hazir ka bara masla tha,hamare gaaon ka sab se bara masla hi ye he k saanpo se chutkara ke hasil kiya jaye.
Baba ghulam rasool logon ko bata raha tha k.....sapni jab bachay deti he to khud hi apne bachon ko nigal jati he jo koi bacha dairay se nikal jaye wo bach jata he,sapni ki ye futrat mamta ki b toheen krti he mgr saanp to saanp hotay hain inhe mamta se kya,apne bachay nigal kr b jb nagin naachti he,to log wah wah krtay hain,nagin nachay to kon ni dekhta,mujhe pta he k ap k gaaon me saanp bohat barh chukay hain,ab to ap ko saanp kabhi phan phailaiy to kabhi baphray hue mood main nazar aatay hain,gaaon k chohdry ko chand siyanay milay hain unho ne chohdry ko bataya he k chohdry sahib! log ap par bohat yakeen kartay hain ap ne agr saanpo k baray me ab b na socha to phr ap ki chohdrahat b khatray me pr jaye gi,is liye ap sadgi chor den or sada jaat ki bjaye"yamla jatt"banen ta k log ap ko dua den,ap ko yad rakhain.
Is pr chohdry rawaiyti andaz me muskraya or kehne lga k me ne danda pakar liya he,abi me dekh raha hu k mere banday kitne saanp martay hn,me chahta hu k saanp dawai se mar jayen q k dawai ka liecense hta he agr dawaiyon se kam na chala to phir danda to he hi,lkn koshash yehi he k dawaiyon se hi kam chal jaye,han albtta dawaiyon ka mayar behtat bananay ki zururt he q k market me jali dawaiyan bohat aa gai hn jali dawaiyo hi ki wja se to abi tk saanpo ka qalla qamma ni hua,me ne ehad kr rakha he k puri basti ko saanpo se pak kr du ga.

Thanks for the nice blog. It was very useful for me. I'm happy I found this blog. Thank you for sharing with us,I too always learn something new from your post.
ReplyDeletebest spin bikes under $500