Happy new year
Assalam o alaikum freinds.
Meri taraf se ap sb ko happy new year.
Dosto dunya k dastoor ki wja se dunya k sath chalne k usool ki wja se me ne ap ko new year ki wish ki q k dunya me ye rawaj aam he or phr duniya me rehte hue dunya k sath chalna chahiye is liye me ne new year ki wish ki wrna shayed me wish na krta.
Q na krta aao wja jante hn.
Dosto hazrat aadam(a.h) k duniya me aaney se pehle duniya ka name ni tha koi zindgi aabad ni thi.
Adam(a.h) k peda hone k bd zindgi shuru hui.
Jb zndgi shuru hui to duniya aabad hone lagi or duniya ka pehla saal shuru hua phr dusra phr teesra or phr ye tasalsal jari raha or na jane kitni sadiyan guzr chuki.dosto adam(a.h) ki zndgi taqreeban ek hazaar saal thi.
Us k bd kisi ki 900 saal kisi ki 800 saal or phr zndgi km hti chali gai.
Dosto zndgi ek hazaar saal se shuru hui thi or aj itni km ho gai he k is dor me 60 se 70 tk zndgi mahdood ho gai he is se aagey koi shadar nadar hi jata he.
Dosto zndgi or duniya ek sath shuru hui thi phr duniya ka saal barhta chla gya jese pehla saal phr dusra saal phr teesra or phr saal k barhne ka silsila jari raha or zindgi ka saal kam hta gya je hazaar se zndgi shuru hui phr kam ho k 900 reh gai phr 800 or phr zbdgi k kam hne ka silsila jari raha or aj zndgi 60 se 70 saal ki reh gai.
Dosto jb saal barhta he to zndgi kam hti he hum din badin zndgi k khatmey ki taraf ja rahey hain.
Mgr kya kisi k zehan me ye khayal aya?
Kya kisi k dil me ye baat ai?
Kisi ne ye socha k hamain naye saal ki mubarak deni chahiye ya ni?
Nahi hamain zindagi k kam hone pr naye saal ki mubarak ni deni chahiye.na hi naye saal ka jashan manana chahiye.q k jb saal barhta he to zindagi kam hoti he phr ek din zindagi khatam ho jaye gi phir duniya b khatam ho jaye gi q k zindagi ho gi to duniya ho gi dono ek sath shuru hui thi to khatam b ek sath hi khatam ho gi.
Post a Comment